Most of the People watch Emraan Hashmi movies for the Songs and his Dialogues, His movies are Full of great Dialogues. We are sharing some All time superhit Dialogues of Emraan Hashmi, If you are a Emraan Hashmi’s Fan then you will love these Dialogues. You can Include your Favorite Dialogues in Comment Section.

Dialogues of Emraan Hashmi in Awarapan

Awarapan dialogues

Ek Awaaz hai Jo mere kano me Goonjti rehti hai …
ek chehra hai jo meri aankhon ke samne baar baar aa jata hai …
mere dil ka sukoon thi woh.

Maine maut ko bahut kareeb se dekha hai …
kisi aur ki zindagi ke liye marna hi meri manzil hai.

Jinke apne sapne poore nahi hote na …
woh doosron ke sapne poore kartein hai.

Mujhe Jannat mein Jagah nahi Chahiye …
mein bas is ladki ko is jahannum se bachane aaya hu.

Dialogues of Emraan Hashmi in OUATIM

once Upon a time in Mumbai Dialogues

Koi bhi dhanda aadmi ki himmat se bada nahi hota.

Supari li hai toh chuna nahi lagaunga.

Agar dhanda shanti se karna hai toh …
dhamake toh karne hi padenge.

Joh bistar pe zabaan dete hai …
woh aksar badal jaate hai.

Mushkil toh yeh hai ki main abhi theek tarah se bhigda bhi nahi …
aur tumne sudhaarna shuru kar diya

Aadmi tabhi bada banta hai …
jab bade log usse milne ka intezaar kare

Zindagi ho toh smuggler jaisi …
sari duniya raakh ki tarah neeche aur khud dhuen ke tarah upar.

Sher se hal chalaoge toh kisaan toh marega hi.

Raaste ki parwah karoonga toh …
manzil bura maan jayegi.

Dialogues of Emraan Hashmi in Jannat

Emraan hashmi in Jannat Dialogues

Khiladi khel khelte hai…
aur main khiladiyon se khelne laga hu.

Main raaste badalta nahin hu , raaste banata hu.

Cricketer aur film stars mein zyada farak nahi hota…
dono ki jawani khatam to kahani khatam.

Jo soochta hai woh zindagi bhar soochta hi reh jaata hai.

Joh harta hai, wohi to jeetne ka matlab janta hai.

Haarne ka darr aur jeetne ki umeed …
in dono ke beech joh ek tension wala waqt hota hai na,kamaal ka hota hai.

Joh aadmi limit mein rehta hai …
woh zindagi bhar limit mein hi reh jaata hai.

Dialogues of Emraan Hashmi in Jannat 2

Jannat 2 Dialogues

Gale lagata hu bas…
gale me latkata nahi hu kisi ko.

Jhoot bolta nahi sach samajhta nahi.

Logo ke hath me gun nahi hogi toh woh ek doosre ko chaku se maarenge …
chaku nahi rahega toh dande se maarenge , lekin maarenge zaroor.

Saath me picture dekhi, samose khaye, haath pakda…
uske baad kiss ka hi number aata hai na?

Log apni zindagi banate hai…
main apni jannat banata hu.

Dialogues of Emraan Hashmi in The Dirty Picture

Emraan hashmi in the Dirty Picture dialogues

Bachche bhi tumse zyada kapde pehente hai.

Har film ka ek hi hero hota hai director.

Mujhe to chadhi zehar ki tarah…
ab pani bhi peeta hu na to aag lag jati hai.

Aurat joh hai na, rainbow ki tarah hoti hai ..
jitne rang utne roop.

Agar nahin kaata na, toh aaisi jagah katunga…
tu confuse ho jayega ki pant pehnu yah ghagra.

Har aadmi ke liye ek aurat bani hai, usse bach gaye…
toh life ban jayegi, varna gaye.

Dialogues of Emraan Hashmi in Raja Natwarlal

Emran hashmi in raja natwarlal

Main paidahishi 420 hu, jamura nahi , kartab dikhake haath nahi failata…
jaal failata hu aur phir us jaal pe maal.

Mujhe Vardha se badla lena hai..
lekin usse maarke nahi,usse zinda rakhke.

Risk aur opportunity ke beech mein hi toh chance milta hai..
aur joh us chance ke saath romance karta hai, wohi asli raja kehlata hai.

Life is paise ki tarah hai bas ek baar kharch kar paoge.

Dialogues of Emraan Hashmi in Rush

Emraan Hashmi in Rush

Har insaan do zindagiyon ke saath aata hai..
ek joh usse milti hai aur ek joh woh khud banata hai.

Abuse, misuse aur bring us the breaking news…..

Jab tak main bhaagta rahoonga…
tum chain se nahi baith paoge.

Joh aadmi risk nahin leta…
uska sab kuch risky ho jaata hai.

Dialogues of Emraan Hashmi in Crook

Emran Hashmi in Crook Dialogues

Panga na le faltu ayi bala ko taal tu

Achchai aur burai ko alag karne waali lakeer seedha dil se nikalti hai.

Meri kahani ka anth alag hai …
aur woh anth main khud likhoonga.

Achchai burai, sahi galat, ek hi sikke ke do pehlu hi toh hai..
na jaane kaun sa pehlu tumhari kismat banjaaye ,kisko pata.

Un logon ko kabhi kabhi opportunities milti hai..
joh hamesha opportunities ke talaash mein hote hai.

Hum sab mein achchai bhi hai, hum sab mein burai bhi …
lekin joh apni burai ko dekhne ki himmat rakhe na ,wohi insaan hai.

Main bura hu aur bura hi rehna chahta hu it’s good to be bad.