The real King of Dialogue Delivery, The Great Raaj Kumar. His acting career was very long, he has worked from black and white films to Eastman color and even he was active in the 90s.

His special type of dialogue delivery is still loved by all of us, He was the only superstar with a royal attitude.

Raaj Kumar Dialogues

Saudagar

Jaani… hum tumhein maarenge, aur zaroor maarenge,

par bandook bhi hamari hogi, goli bhi hamari hogi, aur waqt bhi hamara hoga!

Khaash ki tumne hume aawaaz di hoti …

toh hum maut ki neend se uthkar chale aate..

Yeh Thakur Rajeshwar Singh, itihaas batata nahin …

itihaas likhta hai … itihaas banata hai

Tirangaa

Humari zabaan bhi humari goli ki tarah …

dushmanon se seedhe baat karti hai

Hum aankhon se soorma nahin churate …

hum aankhen hi chura lete hain

Hum tumhe woh maut denge …

joh na to kisi kanoon ki kitaab mein likhi hogi …

aur naahi kabhi kisi mujrim ne soochi hogi

Yeh commando bada khatarnaak hai …

tumhara baap hai
Patta Hilne se pehle ped kaat dalta hai..

Apna toh ussool hai …

pehle mulaqat, phir baat, aur phir agar zaroorat pare toh laat

Na talwaar ki dhaar se, na goliyon ki bauchaar se …

banda darta hai to sirf parvar digar se

Marte Dam Tak

Dada toh is duniya mein sirf do hain …

ek upar waala aur doosre hum

Yeh toh sher ki guffa hai …

yahan agar tumne karvat bhi li toh samjho maut ko bulava diya

Rana ki shatranj ka ghoda a-dai ghar nahin chalta …

seedhe raja ko marta hai

Is duniya ke tum pehle aur aakhri badnaseeb kamine hoge …

jiski na toh arthi uthegi aur na kisi kandhe ka sahara …

seedhi chitta jalegi

Hum tumhe aisi maut marenge …

tumhari aane waali nasalon ki neend bhi uss maut ke khauf se ud jayegi

Zindagi ek natak hi toh hai, lekin zindagi aur natak mein farak hai …

natak ko jahan chaho, jab chaho badal do lekin …

zindagi ke natak ki dor toh upar waale ke haath mein hai

Waqt

Jinke apne ghar sheeshay ke hon …

woh dusron par pathar nahi phenka karte

Jaani! Yeh bachoon ke khelne ki cheez nahi …

haath kat jaye toh khoon nikal aata hai

Pakeezah

Aapke paon dekhe, bahut haseen hain …

inhe zameen par mat utaariega … maile ho jayenge

Betaaj Badshah

Aurron ki zameen khodoge, toh usme se matti aur pathar milenge …

aur hamari zameen khodoge, toh usme se hamare dushmano ke sar milenge

Aapne hamare haath mein taash kya de di …

yeh samajhiye baazi de di

Bulundi

Khudi ko kar buland itna ke har taqdir se pehle …

khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai?

Meri nazar mein paida hona toh ittefaq hai …

lekin jeena ittefaq nahi

Iraada paida karo, iraada …

iraade se asmaan ka chaand bhi insaan ke kadmo mein sajda karta hai