Amrish Puri was one of the greatest villains of Indian Film Industry, we all love dialogues in his powerful voice. He is known for many EPIC negative roles in Bollywood cinema. we have some great Dialogues of Amrish Puri. Hope you will like it.

Karan Arjun

Hamare ghar ki bahu betiyan jab kabhi beizzati ke daldal mein kadam rakhti hai …
toh hum unhe haveli ki char deewari mein zinda chunwa dete hai

Paison ke mamle mein main pehdaishi kamina hoon …
dosti aur dushmani ka kya, apno ka khoon bhi pani ki tarah baha deta hoon

Mere dushmano ko sar chupane ke liye jagah dene waalon …
main tumhari chittaon ko jalne ke liye jagah nahi doonga

Bhudhape mein jism bekaar ho jaate hai …
lekin tune toh apni zindagi hi bekaar kar di

Amrish Puri in Karan Arjun

Aaisi maut maroonga is kamine ko …
ki bhagwan yeh punar janam waala system hi khatam kar dega

Main toh samajhta tha ki duniya mein mujhse badkar kamina aur koi nahi hai …
lekin tumne end mauke par aaisa kaminapan dikhaya hai …
ki hum tumhare kaminepan ke ghulam ho gaye hai

Tere saare khandaan ki maut …
mere haath ki lakeeron mein likhi hai

Hum khandani Thakur hai …
hamari ragon mein khoon ke saath saath zid aur ahankaar bhi daudta hai

Qurbani

Hamara aadmi pehle zindagi se alag hota hai , baad me humse

Hamari organization ko insaanon ki nahi …
balki kaam karne waalon ki zaroorat hoti hai

Muqaddar Ka Badshaah

Upar waale ne yeh dil patthar ka banaya hai …
isse shock toh lag sakta hai, lekin kabhi stop nahi ho sakta

Ek baap das bachche paida kar sakta hai …
lekin das bachche milkar ek baap nahi bana sakte

Naye jooton ki tarah shuru mein naye naye afsar bhi kaatte hai

Ilaaka

Galati ek baar hoti hai, do baar hoti hai …
lekin teesri baar iraada hota hai

Hamara rasta kaatne waali koi bhi billi zinda nahi rehti

Kal hum Holi khelenge , lekin is Holi mein gulaal ki bajai dhuna udhega , pichkariyon mein se rang nahi, bandookon mein se goliyan niklengi …
geeton ki jagah cheekein aur laaj ki jagah laashein tadapengi….

Jhooth Bole Kauwa Kaate

Aadmi ko apni haisiyat ke andar rehna chahiye …
doosron ki daya par jeene ko jeena nahi kehte

Is desh mein vakil aur barrister toh sirf auraton ko hi hona chahiye

Koi bhi jhoot itna mahaan nahi hota ki jiske samne sar jhukaya jaye

Pollution, population aur corruption …
yeh teeno bimaariyan kaput beton ki tarah is desh ko kha jayegi

Haqeeqat

Chola badal lene se aadmi ka charitra nahi badal jaata

Is vardi ke andar barood se bana hua jism hai agar us jism ne aag pakad li toh woh dhamaka hoga ki tere jism ke chitre cheetiyan tak nahi dhoond payengi

DDLJ

Zarooraton ne par kaat diye hai roti paon ki zanjeer ban gayi hai

Ja Simran. ja jeele apni zindagi ..

Gadar Ek Prem katha

Itne tukde karoonga ki pehchana nahi jayega

agar hum hindustan ki zamin par pao rakhte to hazaro zakhm ubhar aate..

Ek roti ke tukde ki tarah chota sa pakistan humari jholi me daal diya..

Diljale

Premi hai, pagal hai, deewana hai

Amrish puri in Ghayal Balwant RaiGhayal

Joh zindagi mujhse takrati hai woh sisak-sisakar dum todti hai

Mr India

Mogambo khush hua
Damini

Aaisi nass dabaonga ki cheenkh nikal jayegi

Yeh adaalat hai, koi mandir ya dargah nahi jahan mannatein aur muraadein puri hoti hai …
yahan dhoop batti aur narayal nahi …
balki thos saboot aur gawah pesh kiye jaate hai..

Vishwatma

Thappad tumhare mooh par pada hai …
aur nishaan mere gaal par chhape hai

Ajgar apne shikaar ko das kar nahi maarta …
balki usse apne lapet mein jakadkar uski haddiyon ke tukde tukde kar deta hai …
aur uski saanson ka gubaar nikal deta hai

Aaj hoga mere aakhri dushman ka khaatma …
aur phir kehlaunga main is duniya ka vishwatma

Ajgar kisse, kab aur kahan nighal jaata hai …
yeh toh marne waale ko bhi pata nahin chalta

Phool aur Kaante

Apni kisi pyari cheez par jab chot ka nishaan lagta hai toh dil mein dard jaag uthta hai

Jisse main insaan ka bachcha samajhkar bees saal tak palta raha, woh aasteen ka saanp nikla

Tune mere khoon ke cheente udhaye hai, main teri dajjiyan udha doonga

Jawani mein aksar break fail ho jaya karti hai

Jahan meri awaaz pahunch sakti hai, wahan meri goli bhi pahunch sakti hai

Garv

Woh meri jagah doosre vyakti badal sakte hai, hamare sankalp aur vichaar nahi

Tabaadlo se ilaake badalte hai iraade nahi

Khoon ki holi aap jaise politicians khelte hain police nahin

Arjun kabhi marte nahin, Arjun ladte hain!

Sarkar badalte hi netao ko afsaro ka tabaadla karne ki purani bimari hai

Tahalka

Dong kabhi wrong nahi hota

Deewana

Yeh daulat bhi kya cheez hai jiske pass jitni bhi aati hai kam hi lagti hai

Duniya ki nazar mein mare hue log kabhi zinda nahi hote varna zindagi khud pareshaan ho jaati hai

Rasam nibhane ke liye havan mein ghee dalna hi padta hai lekin phir ussi aag se ghar bhi jalaya ja sakta hai