Loha Released in 1997 Before the release of Gunda. Loha was a multistarer film starring Dharmendra, Mithun Chakraborty, Govinda, Manisha Koirala and Ramya Krishnan. I think Kanti Shah Dialogues are totally from 3rd world. Kanti Shah movies are always filled with witty dialogues and big list of villains. Loha has gained a cult following amongst audience.

Also Read: Dialogues of Gunda

loha hindi movie posterDialogues of Loha

Ab main bina petrol ki gaadi aur bina nashe ki taadi hoon …

ab main woh phateli sari hoon jisko koi hijhra bhi nahin pehne

Jab tu din mein boot polish aur raat ko tel maalish karta tha

Log Chikna Chikna bol ke tere pichhwaade haath ghumaate the…

isske pehle ki unka haath galat jagah pahunche maine tera haath pakda

Kauwe ne Cheel ka chumma liya aur Cheel ne Choohe ka baccha paida kiya.

Kuch is tarah se bhunne hain maine taqdeer ke dhaage …

achche achchon ko jhukna padta hai mere aage

Chamdi ukhaadkar tera chehra bhigaad doonga …

tukde udaakar tere dal-dal mein gaad doonga

Dikhne mein bevda, bhaagne mein ghoda…

aur maarne mein hathoda

Guru aaya tha toh guru ghantaal bhi aayega …

mere haathon se apni maut ko kabhi taal nahin payega

Apka yeh kanoon, aur bhagwaan, jab bhi kisi ko deta hai, to chappar faadke deta hai,

aur jab leta hai, to thappad maarke leta hai

Main Dhobi Ghaat ke tuteli khaat pe ,tujhe leta leta ke maroonga

Tere mooh mein ghee shakkar ki factory

Main tera woh bura haal karoonga…

jo deemag lakdi ka aur chhipkali makdi ka karti hai

Phone sunte hi tumhara chehra kisi garbhavati billi ki pet ki tarah kyon gir gaya

Dekha Shankar, mujhse dosti karne waale ko Himalay ki pahad ki choti par bithaata hoon, aur mujhse dushmani karne waale ko main hari mirch ki chutney par bithaata hoon.

Mere peeche itne siyaasi haath hain … jitne aapke sar pe baal bhi nahin honge

Main khodta nahin, sirf dafan karta hoon

Aisi ulti palti karke maarega … ki tu khoon ki ulti karke marega

Bheenk mangni parti hain kanoon ke wafaadaron ko …

aur maal khane ko milta hai desh ke gaddaron ko

Kafan odhne waale ghante nahin … gadhiyan ginte hain

Chalo meri jaan … chal kar lagayein pyar ki dukaan

Sar ka taj tedha ho … toh rani, rani nahin kaani lagti hai

Main woh cinema ka aadha tukda hoon …

jiski keemat show khatam hone ke baad do kaudi ki bhi nahin rehti

Begairat besharam bano, kisise kabhi mat darro …

jab koi gaali de, jhi bharke hasso jhi bharke hasso

Maarne waale sun, tu kuch gadi ka mehmaan hai …

teri hi hukumat mein, tujhse jung ka elaan hai

Main tere is kaale color pe laal rang se is tarah se mera naam likhoonga …

jis tarah se policewaale kaagaz par gang war ke report type karte hain

Collar hilaonga toh dollar girega … kamar hilaonga toh rupaya girega

Tu woh mard ban gaya hai … jiski aurat bachcha pehda karne ke liye padausi ke ghar mein jati hai

he oye kangaal bank se bhaagi hui jhoothi chavani

Loha ho ya faulad, ya ho pahadon ki aulad …

jamke phatke lagaonga … yahan meri hukumat hai, tere chakke chudaonga

Magarmach ke cheenkne se machchar marte hain … mard nahin

Lohe se loha kut sakta hai … loha mar nahin sakta

Main aaj hoon aaj … jiska aakhi Mumbai shehar pe chalta hai raj

Saala fakiron ka chehra lekar jurm ke shahenshah se ladne ki koshish mat kar

Saala phateli chaddi pehenne waala meri gaddhi par behetkar noton ki gaddi ginne laga

Tere ghar mein calendar hai …

97 gaur se dekh le, kyun ki 98 tu dekh nahin payega

Mard ka dil us hi ke paas hota hai … jiski maa ke dhoodh mein dum hota hai

Haramipan ki badbu aa rahi hai tere baaton se …

ab toh paki ho gayi teri maut mere haathon se

Jiske passport par Shankar maut ka thappa laga deta hai … usse sirf upar ka visa milta hai

Abhe shamshaan ke hone waale mehmaan

Main tujhe maaf nahin karoonga … main tujhe aaisa saaf karoonga … jaise hajaam do baar sabun lagake daari saaf karta hai

Is sanaate ko todne ke liye main maut ka dhamaka karoonga

Zulm ko fanna karne ke liye maut se takra gaya hai … tujhse loha lene ke liye, dekh yeh loha aa gaya hai

Also Read : List of some of the Cult Films of Hindi Cinema